Free Me Website / Blog Kaise Banaye Without Any Coading -
Namaskar Dosto , Kya Aap Bhi Internet Par Apni Pahchan Banana Chahte Hai ya Aap Internet Ke Madhyam se Ghar Baithe Pasie Kamana Chahte Hai To Aap bhi apna Blog / Website bana sakte hai .
Yadi Aap Computer Programming Jaise HTML / Java / PHP / CSS / Xml aadi Jante Hai To Aap bina Kisi presani ke Badi Asani Se Apni Website Bana Sakte Hai . Lekin agar aap ye sab nhi Jante hai To bhi aap apni website / blog bana sakte hai wo bhi bina kisi Programming or Coading Ke .
Internet Par Aise Bhut se Plateform Hai jo aapko Ye Suvidhaye Prdan Karte hai Jinki Madad se Aap Apni Website / Blog Bana Sakte Hai . Aaj Me Is Article ke Madhyam Se Aapko Ek aise hi Plateform ke baare me Batane ja Rha hu Jiska Naam Hai Blogger.Com jhan Aap Free me Apna Blog / Website bana Sakte hai .
How To Create Free Blog / Website on Blogger -
ब्लॉगर पर फ्री में वेबसाइट / ब्लॉग कैसे बनाते है -
Blogger.Com Kya Hai -
Ye Ek Plateform hai Jo Internet Par Blog Banane Ttha Use Publish karne ki Service Provide krata Hai . Blogger Google Ka Product Hai . Blogger ko Pyra Lab Dwara Banaya Gya tha evm ise 23 Augest 1999 ko Lounch Kiya Gaya Tha . 2003 me Ise Google ne Kharid Liya Tha . Blogger par Koi bhi User Ek Account Se 100 blog bana Sakta hai . Iska Apna Domain jo ye Prtyek Blog Ko Deta Hai vah Free Hota jaise (www.xyz.blogspot.com) . Blogger Blog Par Coustam Domain Bhi Lagaya Ja Sata Hai .
Yadi Aap Programming nhi jante hai to Aap Blogger.Com par Free Me Apna Blog Bana Sakte Hai wo bhi free me . Iske Liye Aapke Pass Gmail Id Honi Chahiye Yadi Nhi Hai to Aap Gmail.com par jaker apni Gmail Id Bana Sakte Hai .
Create Blog / Website On Blogger Step By Step -
Step 1 -
Sabse Pahle Apne Computer ke Browser Me Jaker www.Blogger.com ko Open Kare .
Step 2 -
Apni Gmail Id Se Sign In Kare , apna User Name Or Password Dlkar Same jaise Gmail Par Karte Hai .
Step 3 -
Singn Hone Ke Baad Aapko Option Milega Confirm Your Profile .
Step 4 -
Koi Bhi Ek profile Chune Aap Blogger Profile Chun Skte hai Ya Google+ Profile . Yadi aap Blogger Profile Select Karte hai to Aapko Apna Display Naam Likhna Hoga jo Aapki Blogger Profile Par Display Hoga .
Iske Baad Continue Blogger Par Click Kare .
Step 5 -
Ab New Blog Option Ko Select Kare . New Blog ko select Karne Ke Baad Apko Do Option Dikhai Denge Blog Title , Blog Address .
Blog Title - Blog Title Me Wo Naam Dale Jo Aapke Blog Ka Title Hai Jaise - Knowledge Point (W3hindime.Blogspot.Com) Ka Title Hai .
Blog Address - Blog Address Me Apne Blog Ke Lie Koi Bhi Unique Url Address Banaye . Dhayan Rhe Jo Bhi Blog Address Aap Dalenge Use URL Address Se Hi Visiter Aapke Blog Ko Visit Karenge . Jaise Mere Blog Ka URL hai - w3hindime.blogspot.com .
Ab Koi Bhi Ek Theme Select Kare .
Theme - Theme Me aapke Blog ka Design / Layout hota hai Theme Se Hi Decide Hota hai ki Aapka Blog Browser Par Kaisa Dikhega .
Step 6.
Ab Create Blog Button Par Click Kare . Aur Aapka Blog Create Ho Jayega Aap Apne Blog Par koi Bhi Information Share Kar Sakte ho .
1 टिप्पणियाँ
Thanks a lot. It’s really useful.
जवाब देंहटाएंfree YouTube Video Downloader
VidMate Apk download